logo
Wednesday, August 17, 2011
Jannat e Kashmir
Posted on 11:59 PM by Ramya Haider
Poocha maine khuda se ke jannat zameen par kahan hai
Khuda bola Kashmir hai jahan jannat wahan hai.
Dekhta hoon joh is jannat ko aaj
Chaaron taraf zaalimon ka raaj.
Dhuuan hai wahan jahan waadiyaan theen
Laashein hain wahan jahan abaadiaan theen.
Har kone se rone ki sadaayen aati hain
Har gali Karbala ka manzar dikhlaati hai.
Ya khuda is jannat ko waapas hara bhara karde
Is waadi-e-Kashmir ko dobaara khushion se bharde.
Ek din toh phir bahaarein aayengi
Duaaein mere Kashmiri bhai behnon ki ek din toh rang laayengi.
Chinaar ki in banjar shaakhon pe phir se haryaali hogi
Gham ke baadalon ko hataakar jald barsaat-e-khush haali hogi.
Phir goonjengeen har kone se sadaayen azaan ki
Phir hogi qeemat yahan insaani jaan ki.
Inshallah zaroor aayega woh din
Duniya mein khuda ki yeh jannat hogi jab ghamon ke bin…
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No Response to "Jannat e Kashmir"
Leave A Reply